"Harsu jalwa-e-dildaar dekhta hu.
Har shay me jamal-e-yaar dekhta hu.
Kuch bhi uske jalwe se khali nazar nhi ata.
Usko galiyon or sar-e-bazaar dekhta hu.
Mujhe khud me khudki hasti nhi milti.
Apne andar bhi jamal-e-yaar dekhta hu.
Namaz-e-zahida, mehrab-o-mimbar.
Namaz-e-aashiqa, takht-e-daar dekhta hu.
Jo uske hath se ek ghunt pine ko mile.
To sari aql-o-khirad bekaar dekhta hu."