Meri khamoshi ko samjh pana zara mushil hai. Ab lout tera ana Zara mushkil hai. Yoon to chale jaati Hain takra kr lahrien bhi keenaro se . Us kirare me bas Jana Zara mushkil hai. Wo sham ki tanhai hai . Wo tanha si kuch ratien . Ban kar ek subha tera .Meri jindgi me ana Zara mushkil hai . Kuch diya tune mujhe .wo Gam hi sahi .rakha mane bahut samhal kar .us Gam ko dikhana ab mushkil hai. Zikr ho jata hai aksar tera kabhi kabhi . Yaad aa jati Hain beete huye lamhe . Us lamhe ko dohrana ab mushkil hai . Tu khamosh hai . Dekh me bhi gumsum sa Hun . Is berukhi ko dur kar pana ab mushkil hai . Meri khamoshi ko samjh pana ab mushkil hai ...... By Ravi Bansal