Tum na izhar karti ho na inkar karti ho Me janta hu tum mujhse bahut pyar karti ho Kabhi kabhi sochta hu na tokti ho na kisi ka hone se rokti ho pta nai kya sochti ho Me janta hu tum mujhse bahut pyar karti ho Tumko sanjo ke rakhu har pal me ye hi me karta hu par tum mujhe khone se nai darti ho Me janta hu tum mujhse bhot pyar karti ho. Tum sath ho to har tufan ka samna kar sakta hu tum nai to hawa ka jhoka bhi meri hasti mita sakta hai mana ki tum sharmaya karti ho Me janta hu tum mujhse bahut pyar karti ho Kese hoga kya hoga sochta hu rato ke kale andhere me jab tum mujhe chod jaya karti ho Me janta hu tum mujhse bahut pyar karti ho Humari mulaqat ka samay ese bit jata hai jese ghadi ka kata koi ghuma raha ho fir bhi tum ghar jane ji jid karti ho Me janta hu tum mujhse pyar karti ho Sayd tum mere jesi nai ho me hindi hu jise koi bhi pad sakta hai par tum anmol sanskrit si ho jise har koi pad nai sakta tum apni bhasa mujhe kyo nai smjhaya karti ho Me janta hu tum mujhse bahut pyar karti ho Tum mere liye wo anmol swapn ho jise pane ki chah or kosis karta hu tum bhi itni chah meri kyo nai karti ho Me janta hu tum mujhse bahut pyar karti ho Mera ek hi sapna hai tumhe pana tumhe apna banana tumhe apne ghar ke angan ki tulsi banana kya tum bhi yahi sapna dekha karti ho ? Me janta hu tum mujhse bahut bahut pyar karti ho..... #kavita Suman Zaniyan Karan Kanpuriyaa (इंतेज़ार)