Nojoto: Largest Storytelling Platform

#OpenPoetry Chandra Sekhar tumhe aana hoga rastra

#OpenPoetry  Chandra Sekhar tumhe aana hoga rastra hith k waste, dhumil hote dikh rahe hai prajatantra k rastey. 

Jiski shatruo ka nash kiya tha nij tan ka dekar balidan, usi desh ki shishnuta par prashna kar rahe be-imman. 

Jisne loot machayi satta se desh bech kar baki me, wo bhrastachari ek ho rahe lambi lambi jhaki me. 

Sad yantro ke jaal me maa hai, tum chain se kya so paoge,
Desh pukar raha hai mere Bhagat Singh kab aaoge; bolo Bhagat Singh kab aaoge.

Rakta beej sa khara ho raha lobhi, bukha, satta ka, kya bihar ka, kya dilli ka, kya neta kalkatte ka.
 
Jisse thodi aash desh ko uske satru huye hazar, mithya wadi bhrasta niti se kar rahe uspar prahar. 

Balidani ae Bismil, Khudiraam ko lekar aa jao. Chinn bhinna sa maa ka anchal maa ki laaj bachao. Aao maa ki laaj bachao.

Aatank machate satruo k sab yatra ki bhir se,  asthir ho rahe hai Shahido ki prateema v peer se.

Dharm rastra se upar kaise uttar iska shunya hai, Dharm guru v bhramit kar rahe kya paap kya punya hai. 

Desh batne ki taiyari goro se v jyada hai, jitna loot sakange milkar hissa aadha aadha hai.

Kaisi teri maa ki halat dekhne kab tum aaoge, balidani ae vir sahido kab tak dheer dikhoge.

Aajao ab aa jao un sapno ka fir kya hoga, Ram rajya ka, swarn rastra ka bus mithya abha hoga.

-by Abhijeet Dey #OpenPoetry #poetrycompetition #petrioticpoetry # Pallavi Kumari S.Sangeeta  Soumya Jain Ritika Gupta deba shah

abhijeetdey2871

Abhijeet Dey

New Creator

#OpenPoetry #poetrycompetition #petrioticpoetry # Pallavi Kumari S.Sangeeta Soumya Jain Ritika Gupta deba shah #poem