Nojoto: Largest Storytelling Platform

Jake Rakhe Saiya Mar Sake Na Koi. karib 1985 Ki ba

Jake Rakhe Saiya Mar Sake Na Koi.
karib 1985 Ki bat hai.31 October 1984 ko Rajiv Gandhi ko desh ke pradhan mantri bnaya gya .samaj prayh do bhago me bant chuka tha.backward aur forward ke rup me .Bihar Vidhan sbha ka chunav 1985 me ho rha tha.Hmare gaun ki stithi vahi thi jo anya jgho ki thi.kangress umidwar ke paksh me forward aur Lokdal ke paksh me backward the.kangreesi umidwar dwara kha gya ki backward ka vote to gun ke nokh pr lelenge.iske virudh me backward jatiya ek ho gai aur jange yelan kr diya gya..kuchh samajdar logo dwara kha gya ki Jo vote dega Apne bhu-betiye ko bechane ke brabar hoga.forward dwara vote paise pr lene ka dbav bnaya ja rha tha.jha tak meri manna hai vote hi ek yesa chij hai jo brabri ka adhikar deta hai chahe raja ho ya rank vastav me samta ka adhikar sambidhan dwara  pradat prilakshit hota hai aneyatha har
jagah adhikar ka hanan hi hota hai.voting ke ek din pahale matdan pdadhikari matpatra aur mat peti lekar booth(school) pr phuche .4-5 baje morning time me.farward dwara gun lekar booth pr kbja kr liya gya aur pdadhikariyo ko bandhak bnaya gya.backward vote dene gye usko drva kr bhaga diya gya.tab gaon ke mahilaye aur purus ek jut hokar har har mhadev ka nam lekar sath hi marne mitne ke liye nikal pade.tab dbango dwara gun se phayar karne lage.itna phayar kiye ki goli ke dhunva se Aasman achhadit ho
 gya.aur ek garib ke pair me goli lag gai.ye khabar pratidwandi umidwar ke samarthako ko pta chla to ve log bhi 40-50 ke gem me harva hathiyar le kar phayar karte huye hmare gaon ke booth ki taraph aane lage.aur dono taraph se ghamasan phayar hone lagi itna phayar huya ki lagbhag 6 month tak chidiya bhi apna baseda nahi bna pai.labhag 6 ghante tak goli chali.backward log bhari padne lage forward par.tab jake forward field chhor kr bhag gye.isi bich karib ek baje ek dard nak gatna ghati ek khunkhar aur jhagra ke jar Dabang ko backward dwara pakar liya jata hai aur uski sine me gun stakar goli mara jata hai lekin tin bar miss kr jata hai.usko marbit kr chhor diya jata hai.uske bhagte hi vaha gun phayar utha leta hai.
sach me kha gya hai jake rakhe saiya mar sake na koi,bal na banka kar sake jo jag bari hoye.
ye chachi ghatna ek bhaiya ke gaon ke hai.Aaj gaon ke log aman chain se ji rhe hai aur sabka mitravat bevhar hai.ab backward-forward ki baat nahi rhi sab ek sath mil baith kr koi bhi smaseya pr charcha karte hai aur vikash ki ek navi rosani prakashit kr rhe hai.isme truti ke liye mafi chahiye

©Shailendra Kumar Jake Rakhe Saiyan Mar Sake Na Koi

#Anger