Laut kar ana bhi bhool jao, itni door mat jana Chah kar bhi na palat pao, itni door mat jana Ye fasle har raabta bhi phir torh dain Mere baad tum mujhe bulao, itni door mat jana Tumhari har baat pe hai dil ko aitebar Zaroorat pare ki yaqeen dilao, itni door mat jana Waqt ke saath har umeed hi mar jaye Ye bhi ke tum wapis aao, itni door mat jana Kuch na baqi rahe phir humare darmiyan Har yaad ko tum bhulao, itni door mat jana!