Ek waqt tha.. Jab hum ajnabi hua karte the.
Ek waqt tha. Jab vo ajnabi ho kar bhi apna sa laga karta tha.
Ek waqt tha. Jab ankhein sirf usi ko dhundha karti thi.
Ek waqt tha.. Jab use na dekho toh bechaini si hua krti thi.
Ek waqt tha.. Jab sirf ankho se baat hua karti thi.
Ek waqt tha.. Jab uski ek jhalk dekh kar, badi se smile hua karti thi.
Ek waqt tha. Jab dil us se baat krne ke liye bechain rehta tha.
Ek waqt tha.. Jab use fb pe search kara jata tha aur uske na milne pe bada afsos kara jata tha.