Nojoto: Largest Storytelling Platform

#OpenPoetry Maine aaj maa se ek sawal kiya. maa ky

#OpenPoetry Maine aaj maa se ek sawal kiya. maa kya darna buri baat h?? maa ne muskura k mujhe kaha bilkul bhi nhi. Fir mene maa se kaha to log esa kyu kehte h ki jo daar gaya samjo maar gaya... Maa fir se muskura di or apna kaam krti rahi...Muje samaj nhi aa raha tha ki maa mujh pr hash rahi h ya mere sawal par. Fir mai maa se gussa hoke jane lagi, tabhi maa ne mera hath pakad k mujhe roka or kaha ki sabji me namak mai daalu.. muje or gussa aaya ek to maa mujhe mere sawal ka jabab nhi de rahi h ulta mujhe kaam bata rahi h. Mujh se maa ne kaha ki sabji me namak dalo fir vo mere sawal ka javab dengi. Fir kya tha mene fatak se sabji me namak dala or maa ko bola ki ab aap jabab dijiye .maa ne jabab to diya nhi ulta mujh se hi sawal pucch liya. maa ne mujh se puccha ki tumne namak kis hissab se dala, mene kaha ki mujhe pata h ki kitni sabji me kitna namak chahiye hota h us anubhav se..Maa fir muskura di or boli dar or namak ek jese hi h . Bt is baar mujhe gussa nhi aaya tha kyu ki mujhe janna tha ki maa k namak ka or mere dar ka relation h kya. Fir maa ne mujhe kaha ki tumse namak jayda kyu nhi dala kyu ki tumhe pata h ki vo agar sahi matra me dala jayega to sabji ka swad bigde ga nhi, namak jese khane me jaruri hai  bilkul vese hi dar ka bhi hona life me bahut jaruri h agar vo santulan me rahe to. kyu ki hume daar badi galti krne se rokta h , vo hume zindagi me hone vali laparwahiyo se bachata h , daar hume ek baar fir sochne ka moka deta hai. Par hum dar ko galat mante h kyu ki hume pata hi nhi h ki isse santulan me rakhna kese h or isse kese santulan me rakhna h ye humara anubhav sikhata h..Agar dar km hoga to hum galtiyo se kabhi kuch sikhenge hi nhi bs unhe laparwahiyo se dohrate rahenge...Or Agar daar jayda hoga to hum kuch bhi naya na hi kr payenge or na hi sikh payenge...Agar khud k dar pr santulan aa gaya to zindagi kabhi kadvi nhi hogi vo behad laziz hogi. Aaj mujhe zindgi k sawad k ek ingredient ka mahatv samaj aaya tha.
©jipankti #story-dar bhi accha hota h
#panktikipanktiya

panktiji8525

Pankti Ji

New Creator

#story-dar bhi accha hota h #panktikipanktiya #OpenPoetry

Home
Explore
Events
Notification
Profile