Nojoto: Largest Storytelling Platform

Nani keheti thi,sabse miljulkar raho.nani keheti t

Nani keheti thi,sabse miljulkar raho.nani keheti thi kabhi kisika apman nah karo.
nani hamesha acchi shiksha hi diya karti thi.bachpan mein nani hum sab bacchkon ko nayi nayi chizen banakar khilaya karti thi.hum sab nani ke sath zidd bhi bohot kiya karte the.mujhe nani kabhi akele bahar nahi jane deti thi,kahin main kho na jaun iss dar se.par main fir bhi chupke se bahar nikal jaya karti thi.nani ki hamesha se badi laadli rahin hun main.sabko hamesha unhone barabar ka prem diya hai.sabka dhyan rakhti thi nani.

nani ke vahan bandar bhi bohot the,jahan jao bass vahin miljate the,kabhi ghar ki chhat pe,kabhi aangan mein toh kabhi sadkon par.jahan dekho bandaron ka hi dera jama reheta tha.mai bohot darjati thi unse,sehem jati thi.nani ke aane par meri jaan mein jaan aati,aur mai rote rote nani ke gale se Kasske lipat jati thi.Fir nani un bandaron ko bhagane ke lie unke peeche laathi leke bhagti thi.un bandaron ko nani fir unki nani yaad dilaya karti thi.

bohot pyari hai meri nani,sabse pyari.aaj bhi jab nani ke vahan unse milne jati hun,meri nani mujhe zor se apne gale lagati hai aur dher sara mujhpar apna pyar lutati hai.vahi sukoon mujhe meri nani ke pas milta hai,jaisa apni maa ke pas milta hai.bohot pyar karti hai meri nani mujhse,aur mai unse.hum dono ek dusre ki jaan hain.
 
    I LOVE YOU NANIšŸ˜šŸ’•
         #nanišŸ˜˜ #lovešŸ’š #ItsMe #nojoto #kalakaksh #nojotoHindi

nanišŸ˜˜ lovešŸ’š #Itsme #Nojoto #kalakaksh #nojotohindi