Nojoto: Largest Storytelling Platform

Ab ghar jaane ka Dil nahi karta, Kyunki waha koi n

Ab ghar jaane ka Dil nahi karta,
Kyunki waha koi nahi puchta,
Ha kyunki ghar ab ghar jaisa nahi lagta...

Jab sidhe sawal ke ulte jawaab milne lage,
Har waqt jab apne neeche girane lage,
Jab gussa doston pe utarne lage,
Tab barbadi ke kisse shuru hone lage,
Ha kyunki ghar ab ghar jaisa nahi lagta...

Yun andar hi andar ek bawandar bana liya,
Yun sabko suna kar khudse Durr kar diya,
Ha kyunki ghar ab ghar jaisa nahi lagta...

Kabhi na kabhi toh sab thik hoga,
Nahi toh issi aas me duniya ka akhri din hoga,
Kyunki ghar ab ghar jaisa nahi lagta...

Kuch hum bure,
Kuch hum kadve,
Kuch hum farebi,
Kuch hum jehrile,
Kyunki ghar ab ghar jaisa nahi lagta...

- A.K

ak9667379802025

A.K

New Creator