Nojoto: Largest Storytelling Platform

Wo roti rahi, gidgidati rahi, uski mafi ke liye W

Wo roti rahi, gidgidati rahi,  uski mafi ke liye
Wo maarte rahe usse parva na thi unhe wo mare ya jiye
Un masumo ki galti thi is desh ke jaati parampara
Ye ghinouna khel tha jaat ke abhimaan ka saara
iss desh me mohabaatt se badi hoti hai jaat
pyar karne walo ko nahi thi pata ye baat
Woh dono bahit thay khush chahi thi pyar ki masti
Nadaan thay wo bhool gaye insan ki kimat is desh me jaat se sasti
Ladkey ki thi bhale  choti jaat,  tha bahut  honhar
Ladki ne bina sochey  hi kiya tha ussey pyar ka izhaar
Dono ki chahat ki na thi koi intiha
Sapno ki duniya me hota tha unka  basera
Phir ek din jaise tuta pyar ka pahad
Sapno ki khupsurat duniya ko diya ujaad
Koi aur nahi,  ye thay uske apne maa aur baap
Jinhone kiya tha ye ghinouna paap
Unko thi samajh ki parvah
Na tha beti ke khushi ki chah
Saara gaav dekhte raha tamasha
Maar khate raha ladka wo betahasha
Fek aaye uski  lash nadi ke kinare
Apni ye neechta se khush thay saare
Ladki ne kiya tha vaada nibhane ka uska  saath
Khuudkhushi kar li,  kat liye apne haath
Dono ki chitaye ko jalaya gaya ek saath
Markar jeet gaye dono, rote rahe do ghar saari raat
Upar asmaan se dekh dono muskaye
Dharm, jaat ka faltu gumaan bhi unka saath na tod paye

alokmeshram8732

Alok Meshram

New Creator