Nojoto: Largest Storytelling Platform

Dariya dil main toofan sa uthney laga tha Jo saal

Dariya dil main toofan sa uthney laga tha 
Jo saalon sey khamosh pada tha 
Wo dil hasney laga tha 

Ummid thi ki mehkeyngey phir sey gulshan meri bhi zindagi main 
Chod diya phir aagey badhney sey pehley manzil ki raah ko 
Bikhra hua dil kahin bikhar na jaaye 
Bas ye soch kar darney laga tha 

Or yaad aa rahey thi phir sabhi dost wo jo ham par nisaar they 
Jinko kabhi tawajjo na di thi
Un logon ke aagey ghutney taik kar main apeel maafi ki karney laga tha 

Or us ek shakhs ney hila kar rakh diya duniya ko meri 
Jo saalon sey rubaru bhi na hua tha 
Ittafaqan hi ho gayi thi ek raat baat us sey 
Main paagal har raat intezaar main uski call ke jagney laga tha 

Wo karti thi tayyari imtihaan ki apney raat-raat bhar 
Or main apni kitaabon ko chod 
Uthakar musalla kamyaabi ki dua uski raat raat bhar karney laga tha 

Jo karta tha La parwahi main namaazon main 
Ek uski talab main raaton ko uth-uth kar khuda ke saamney roney laga tha 

Gawaya usney bhi ishq apna 
Main bhi muhababbt kho chuka tha 
Phir laga jaisey yahi hai wo jiskey liye mujhey khuda ne tanha rakha hai 
Or phir main phir sey dheerey dheerey bajaaye simatney ke bikharney laga tha 

Junoon kuch baaki abhi talak mujh main bhi tha duniya kamaaney ka 
Par jis roz kaha usney ham ek nahin ho saktey 
Main kamaayi huyi apni duniya ko bhi tabah karney laga tha 

Na jaaney kyun khuda ney milaya mujhey us sey saalon baad 
Pehley to koyi raabta rehta nahin tha 
Or ab siwaaye uskey khayaal ke koyi raabtey main na tha

Khuda sey uski chahat ki rihaayi maangney sey bhi darta tha 
Yaar jo pehley kabhi kisi ke bichadney sey na dara tha 
Aaj shakhs wo har roz hi kayi-kayi baar roney laga tha 

किया mujhey riha bhi उसी ने तन्हाइयों sey 
jiski chahat main main phir sey tabah honey laga tha 
Ye baat koyi puraani nahin 
Bas khud ko dilaasa deney ke liye main un sabhi palon ko maazi kehney laga tha 

Or lagti thi aag seeney main 
Jab zuban par zikr uskey kisi or ka aata tha 
Main pagal bina wajah hi ek band raastey par safar kaney laga tha 

Baad bichadney waaley sey milney ke 
Dariya e dil main ek toofan sa uthney laga tha 
Jo khamosh tha saalon sey wo dil hasney laga tha 

Ab ashkon ki aamad aankhon main koyi baat hairaini ki nahin 
Hmmm wo baat alag hai "आदिल"
Main पहले saalon tak aankhon ko bhigota na tha...Als...self comp.Rr

©Als. #Nature