Sahme nahif dariya ke dhare ki baat kar. Ab dasht-e-be-kara ke kinare ki baat kar. Duniya ke masalo me mujhe bhi sharik rakh. Mere darida dill ke bhi chare ki baat kar. Rehne de zikr-e-sud kisi aur waqt par. Rah-e-vafa me mere khasare ki baat kar. Meaar ke na mujh ko kam-o-besh me parakh. Tujh ko agar qubul hu saare ki baat kar. Ham boriya-nashin tire shaah bhi to hai. Ya laut ja ya saath guzare ki baat kar. Ab asman saara meri dastaras me hai. Ungli utha kisi bhi sitare ki baat kar. Mere dill me utarne ki baat kar.... #shayari #mylove #lovelines #aves_saify #quotes