Kaise Bayaan Karun Tujhe dekhkar meri aankhon ko jo sukun milta hai Main kaise bayaan karun Tujhe sochkar meri baaton me jo junoon dikhta hai Main kaise bayaan karun Kaise bayaan karun, apne pichle kuch mahinon ki tadap ko Aur kaise bayaan karun, apne dil se hui us din ki jhadap ko Jab ye tha to mere paas, par dhadka tumhaare liye tha Jab ye khushi se naacha to tha, par bol aur geet tumhare the Kaise bayaan karun, main is aalam-e intezaar ko Aur kaise bayaan karun, tere dar pe lage us darbaar ko Jahan main tha ik fariyaadi, apna dil dene aaya tha Charche the jiske husn ke har gali, ik dafa mil lene aaya tha Ab?dekho ek ye aaj ka din hai Jab teri khusboo, meri saanson ka ik hissa si lagti hai Aur doori jo thi darmiyaan, ab koi purana kissa si lagti hai Kis kadar tere nashe mein main dooba hua hun Kaise bayaan karun Tujhe paakar main jo aaj yun poora hua hun Kaise bayaan karun main kaise bayan karu #love #hindi #pyaar #sad #lonely #nojotohindi #dard #hindikavita #hindipoem