kabhi khud se pyaar kiya hai na dhoka na bewafaai jitna apne se pyaar karoge utna manziil ko karib payonge kabhi khud se pyaar kiya hai har din apne me vishwass nazar aayega hhar durgam raastein mey khud ko aage badta dekhoge kabhi khud se pyaar kiya hai har din hassen lagega zindagi badi rangeen lagegi apne sapne apne lagenge kabhi khud se pyaar kiya hai Apni dagar par khud aage badoge Har kadam apna aage badta pawonge Apni jung khud ladna sikh jawonge. kabhi khud se pyaar kiya hai maine bahoto ko girte dekha hai dusro ke pyaar mey par bahut kam uth paatein hai dhoka khaane ke baad kabhi khud ko pyaar kiya hai maine dekha hai unko aage badte huye sambhalkar girna aur girkar sambhalna dono sikh liya hai ,jisne apne se pyaar kiya hai kabhi khud se pyaar kiya hai Apne ishq mey pad kar dekho ek baar yeh galti kar kar dekho sach kahti huu kabhi pachataap nahi karoge kabhi khud se pyaar kiya hai kabhi apne liya jiya hai na umidey na dusro se upekchaa in sab chakaro se dur rahoge kabhi khud se pyaar kiya hai karke dhekho thoda swarthi ban kar dekho jis din apne se pyaar karna sikh loge zindagi ki aadhi jung wahi khatam .. #Journey ,#kabhi khud se pyaar Kiya hai