Nojoto: Largest Storytelling Platform

City thoda bhiga sa ho, thoda khila sa ho, thoda s

City thoda bhiga sa ho,
thoda khila sa ho,
thoda subaha ki taraha ho sahar mera,
takarar bahot ho,
magar pyar bahot ho,
bhul naa paye mujhe phir bhi wo,
kuch aisa ho uspa asar mera,
wo muskati si ho,
thora ithalati si ho,
sard hawaon k jhokon si,
wo hardam aati-jati bhi ho,
wo vishwas kare mujhpar khud jitna hi,
kuch aisa ho wo humsafar mera,
sahar ki har imarat mein,
bachchon  ki har shararat mein,
mere jivan ki sachchai mein,
mere jahan ki har ek khwaish mein,
dikhe uski parchai bass,
bina uske bass ho tanhai bass,
main usmein aur wo mujhmein ho,
ye sahar mera bass tujhmein ho,
jismein tum ho bass tum hi ho,
sapane jaisa ho ek ghar mera,
ho kuch aisa wo sahar mera,
ho jo sahar tera wo sahar mera.....deb #Saharmera
City thoda bhiga sa ho,
thoda khila sa ho,
thoda subaha ki taraha ho sahar mera,
takarar bahot ho,
magar pyar bahot ho,
bhul naa paye mujhe phir bhi wo,
kuch aisa ho uspa asar mera,
wo muskati si ho,
thora ithalati si ho,
sard hawaon k jhokon si,
wo hardam aati-jati bhi ho,
wo vishwas kare mujhpar khud jitna hi,
kuch aisa ho wo humsafar mera,
sahar ki har imarat mein,
bachchon  ki har shararat mein,
mere jivan ki sachchai mein,
mere jahan ki har ek khwaish mein,
dikhe uski parchai bass,
bina uske bass ho tanhai bass,
main usmein aur wo mujhmein ho,
ye sahar mera bass tujhmein ho,
jismein tum ho bass tum hi ho,
sapane jaisa ho ek ghar mera,
ho kuch aisa wo sahar mera,
ho jo sahar tera wo sahar mera.....deb #Saharmera