Nojoto: Largest Storytelling Platform

GHAR ghar kehne ko do shabdh hai par samjha jaye

GHAR

ghar kehne ko do shabdh hai par samjha jaye toh Zindagi hai ghar woh hota hai jaha maa ka anchal lehrata ho jaha maa bina ginti kiye nivale pe nivala khilati ho ghar wo hota hai jaha pita ka saya sir pe ho jaha pita ki dant ko ek nayi sikh mani jati ho ghar wo hota hai jaha bada bhai chote bhaiyo ki khabar leta ho jaha do behne ek dusre ki Chizo ko lekar mitha jhagda karti ho jaha badi ke kapde choti ko ho jaye par choti ke kapdo main badi na ghus paye ghar woh hota hai jaha bade bhujurgo ka man kiya jaye jaha pati patni do alag insan na rehkar hum tum na rehkar hum ban jaye ghar woh hota hai jaha fufi har bar majedar chutkule aur chugliya lekar aye aur masiya ma jaisa pyar lekar aye jaha har sham sath baithkar chai pe charcha ki jaye papa mummi ki Love story sabko sunayi jaye jaha angan main khilta ho bachpan darwaje pe khadi jawani sharmaye jaha na ho umar ki diwar budhape main bhi bachpan aye ghar woh hota hai jaha vatavaran pradushit chota kare aur sara ghar papa pe nazar ghumaye jaha ghar ka paltu janwar sab dekhte hi mohol ko pehchan jaye jaha jija sali ka natkhat andaj sabko bhaye ghar na ghar hota hai cahe wo kiraye ka ho ya khudka ghar sirf eat ,reti,pathar,aur char diwaro se nahi banta vishwas se siya jata hai pyar se bij ki tarah boya jata hai jaha rasoyi par rishte pakte hai jaha halka sa namak jyada padhe to sab chup chap kha lete hai jaha ke har kone kone main ek yad basi ho jaha diwar par bachpan ki tedhi medhi  lakire khichi ho jaha tasvire muskurati ho aur jaha chath se mithi ki khushbo ati ho na samjo khudko beganha yaha shukar karo tumhare pass ghar hai jara dekho jake yatim khane main jane kitne hi ghar be ghar hai ❤️ #ghar❤️🌈

ghar❤️🌈