Taufique de khudaya tujh se wafa karen hum Hamd o sana hamesha teri bayan karen hum Bin mange tune hum ko sab kuchh ata kiya hai Phir kyun na shukr tera har pal ada karen hum Tune humen hidayat ka rasta dikhaya Taufique de hamesha us par chala karen hum Khaliq hai tu humara maalik hai tu humara Phir tujh se ya ilahi kyunkar dagha karen hum Mahfooz kar len shar se apni zaban ko hum Tasbeeh teri ya rab har pal padha karen hum Qura'an ko hamesha padhte rahen ilahi Tere kalam ko na dil se juda karen hum Rab ne qasam hai khayi qura'an men qalam ki Lazim hai is se Shakir haq hi likha karen hum ©Karim Shakir #karimshakir #vacation