Kabhi kya nahi, kabhi kya kya bana hoon Kabhi bawarchi tau kabhi dhobi bana hoon Kabhi safai wala tau kabhi khudka he Utaleeq bana hoon Kabhi kya nahi, kabhi kya kya bana hoon Ghar se jo door hoon ,ghar nahi par makaan zaroor banaya hai Usmain akele rehkar khudka he dost bana hoon Kabhi hamdard kabhi humsafar tau kabhi khudika hi ustad bana hoon Kabhi kya nahi, kabhi kya kya bana hoon Kabhi majbooriyan tau kabhi zimidariyan thi wajah Manzil ki aur jo chale ja raha hoon Kabhi kya nahi, kabhi kya kya bana hoon Kabhi bhai kabhi behan kabhi baap tau kabhi khudki he maa bana hoon Kabhi kya nahin, kabhi kya kya bana hoon #strong #motivation #wordsstraightfromtheheart #shayri #responsibilities