Aankhon mein aankhein daal kar Tumse kabhi keh nahin paaya Pata nahin kis baat se itna darta hoon Jo bhi mann mein tha, Dil mein hai Unn ehsaas ko chalo, Aaj bayaan karta hoon Main aaj kuch Confess karunga Shuruaat mein tum Mujhe pasand nahin thi, Arrey sacchi, kasam se nahin thi Bas ek feeling thi tumhe dekh kar Lagta tha kitna attitude hai tum mein Par achanak tumse jab mulakaat huyi Pata nahin kis kaaran hum mein baat huyi Par baatein karke laga tum meri soch se Bilkul alag thi Behad pyaari aur kya kahoon tum mujhe Bahot hi achi lagi thi Pehli nazar mein kuch hua nahin Par baatein jabse hone lagi thi Sacchi kahoon mujhe tabhi se Mohabbat tumse hone lagi thi Samjh nahin aaya achanak mujhe Kya ho gya hai Bas tumhe milne ki Aadat si lag gayi thi Yakeen nahin maanogi Tumhaari pasand ke gaano ko mein yaad kar kar ke gungunata tha Jis se tum sunn unhe aur kaho Arey yeh gaana aapko aata tha Phir mein bolu 'Haan' Iss mein kaun si nayi baat hai Phir mujhe tum request karo Ek baar suna do isey apni awaaz mein Tumse mil kar mere gaal laal ho jaate the Kabhi gaur kiya tha iss baat pe ? Tumhe Hii karne ke liye bhi Alag - Alag tareeke aazmata tha Haan mein paagal ho gya tha Mujhe pagalpantiyaan karne mein hi Maza aata tha Tumhaare pass hone se meri Khusi ka andaaza nahin tha tumhe Aur tumhe lagta hoga yeh ladka pehle se hi khud mijaaz hoga Ab khud hi dekho tumne pehli nazar mein hi nahin Har nazar mein kaunsa jaadu kiya tha Tumhe ishaara to diya tha maine Keh kar sapne mein aayi thi tum aaj Jahan tum meri thi, aur mein tumhaara ABHI....... #NojotoQuote ❤️❤️