Nojoto: Largest Storytelling Platform

Naa wo hasi rahi baaki Naa wo muskan dikhi ab kahi

Naa wo hasi rahi baaki
Naa wo muskan dikhi ab kahin
Naa wo pehchan bachi ab
Naa wo nishaan mila kahin per
Wahi jo kho gayi thi 
Wahi jo mil nahi rahi thi
Dhundhna tha jise zaruri 
Haa wahi to, hasi kho gayi hai kahin.
Socha waham hoga mera ye 
Hogi yahi kahin chhupi 
Meri hasi,
Per mili hi nahi kahin, 
Wo meri pehle wali hasi.
Kuchh khas sa lagta tha mujhe usme 
Ab wo baat nhi dikhti isme
Tabhi to kaha 
Dhundhna hai ise 
Naa jaane kahan baithi hai chhipi, 
Ab ye bejaan se dikhti hai
Ab ye bekaam si lagti hai
Naa ab isme Koi noor dikhta 
Naa Koi wajah 
Badi hi bewajah si ho gayi hai ye 
Meri hasi. 
Sochti thi ye doosron ke chehre pe muskan layegi, 
Per badi beraham ho gayi ye to,
Doosre to door ,mere se bhi gayi rishta tod.
Zarur muh moda hoga Maine isse kabhi,
Tabhi gayi mujhse is tarah rooth, 
Yahi to thi bas ek 
Jo mujhe behad pasand thi 
Per kya, chali to gayi naa mujhe chhor, 
Or kon ??
meri hasi. 
Bahut khilkhilaya krti thi 
Kayi baar or ko bhi hasaya krti thi 
thodi si nasamjhi wali ho ya thodi si nakhre wali, 
Kabhi asli wali hoti ya kabhi thodi nakli wali, 
Auron ko Zarur hasaya krti thi wo,
Ab to jaise mere pass aati hi nahi 
Naa jaane kahan gumsum baithi hogi, 
Or kon?
Meri hasi.
Mujhe bahut pyaari lagti thi .
Meri hasi. .. #OpenPoetry Meri hasi
Naa wo hasi rahi baaki
Naa wo muskan dikhi ab kahin
Naa wo pehchan bachi ab
Naa wo nishaan mila kahin per
Wahi jo kho gayi thi 
Wahi jo mil nahi rahi thi
Dhundhna tha jise zaruri 
Haa wahi to, hasi kho gayi hai kahin.
Socha waham hoga mera ye 
Hogi yahi kahin chhupi 
Meri hasi,
Per mili hi nahi kahin, 
Wo meri pehle wali hasi.
Kuchh khas sa lagta tha mujhe usme 
Ab wo baat nhi dikhti isme
Tabhi to kaha 
Dhundhna hai ise 
Naa jaane kahan baithi hai chhipi, 
Ab ye bejaan se dikhti hai
Ab ye bekaam si lagti hai
Naa ab isme Koi noor dikhta 
Naa Koi wajah 
Badi hi bewajah si ho gayi hai ye 
Meri hasi. 
Sochti thi ye doosron ke chehre pe muskan layegi, 
Per badi beraham ho gayi ye to,
Doosre to door ,mere se bhi gayi rishta tod.
Zarur muh moda hoga Maine isse kabhi,
Tabhi gayi mujhse is tarah rooth, 
Yahi to thi bas ek 
Jo mujhe behad pasand thi 
Per kya, chali to gayi naa mujhe chhor, 
Or kon ??
meri hasi. 
Bahut khilkhilaya krti thi 
Kayi baar or ko bhi hasaya krti thi 
thodi si nasamjhi wali ho ya thodi si nakhre wali, 
Kabhi asli wali hoti ya kabhi thodi nakli wali, 
Auron ko Zarur hasaya krti thi wo,
Ab to jaise mere pass aati hi nahi 
Naa jaane kahan gumsum baithi hogi, 
Or kon?
Meri hasi.
Mujhe bahut pyaari lagti thi .
Meri hasi. .. #OpenPoetry Meri hasi
shriupadhyay6958

lafz story

New Creator

#OpenPoetry Meri hasi #poem