Nojoto: Largest Storytelling Platform

kis baat ka guroor hai tujhe ek din apne apse pooc

kis baat ka guroor hai tujhe ek din apne apse pooch baitha me.
guroor is shaan-o-shaukat ka, guroor pariwar ki daulat ka, guroor usey paane ka, guroor apni hoshiyari ka ya guroor insan hone ka.
 badi badi takato ko girte hue dekha hai, pariwar ki deewaro me darare aate dekha hai, ek ko dusre ke liye bichadte hue dekha hai, bade bade vidhyano ka dimag dhulte hue dekha hai agar guroor hai insan hone ka to insan me haiwaniyat ko ubharte hue dekha hai , insan ko insan se ladhte hue dekha hai.
anmol hu me ye sunte hue dekha hai lekin wahi dusri taraf apne aapko bikte hue dekha hai.
bahar ki gandagi to mita leta hu samaj me to me jee leta hu par apne apse mene nazre churate hue dekha hai.
you to bande hai hum sab  uske par apne banaye hue mandir maszido ke liye uski banayi hui kala se khilwad hote hue dekha hai.
jabse hosh sambhala hu dosto sach ko jhooth , jhooth ko sach hote hue dekha hai.
are hum kya cheez hai yaaro, mene badi badi chattano ko girte hue dekha h, samundar ki lehero ka tandav dekha hai, khamosh aag ka vikral roop dekha hai.
fir kaise himmat juta li mene pooch baitha apne aapse kaun hu me?
jab tatoli apni potli to apne apko shunya saman hote hue dekha hai apne apko shunya saman hote hue dekha hai. kaun hoon mein
#kaunhoonmein #IITROORKEE