Nojoto: Largest Storytelling Platform

Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman k

Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka Bulbul hu
Sarshaar-e-nigaah-e-nargis hu , paabasta-e-gesoo-e Sumbul hu
Ye mera chaman, ye mera chaman,
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka bulbul hu !
Jo taaq-e-haram mein roshan hai woh shama yahan bhi jalti hai,
Iss dasht ke goshey goshey se ik jooy-e-hayat ubalti hai
Ye dasht-e-junu deewano ka, ye bazm-e-wafaa parwano ki
Ye shehr-e-tarab roomano ka, ye khuld-e-baree armaano ki
Fitrat ne sikhayee hai humko uftaad yaha parwaaz yaha
Gaaye hai wafaa ke geet yaha , chheda hai junu ka saaz yaha
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka Bulbul hu !
Iss bazm mein teghei khi chi hain, is bazm mein saa ar todey hai
Iss bazm mein aankh bichhaayee hai, iss bazm mein dil tak jodey hai
Har sham hai shaam-e-Misr yaha , har shab hai shab-e Shiraz yaha
Hai saarey jaha ka soz yaha aur saarey jaha ka saaz yaha
Zarraat ka bosa lene ko sau baar jhuka aakaash yaha
Khud aa kh se hamne dekhi hai baatil ki shikast-e-faash yaha

Jo abr yaha se utthega, wo sarey jaha par barsega
Har jooy-e-rawaa par barsega, har koh-e-garaa par barsega
Har sarw-o-saman par barsega, har dasht-o-daman par barsega
Khud apne chaman par barsega, gairo ke chaman par barsega
Har shahr-e-tarab par garjega, har qasr-e-tarab par kadkega
Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega

Barsega, barsega, barsega! AMU tarana

AMU tarana