Nojoto: Largest Storytelling Platform

Waqkt aur lamhe kabhi kabhi teher jate hai Par jin

Waqkt aur lamhe kabhi kabhi teher jate hai
Par jindagi waqt ke saath badal jati hai
Samjhi na thi jindagi aisi hogi
Abhilasha ki koi paribhasha na hogi
Socha tha ye hoga wo hoga
Par pas aaya waqt to saamne kuch na tha
Samajhte Samajhte Nasamajh ho gayi main
Sochte Sochte ulajh gayi main
Jo socha nahi wo mila to kya hoga?
Aur jo socha wo mila nahi to kya hoga?
Waqt bhale thara ho par saans thami nahi hai
Kuch kar gujarne ki aas baki ab bhi kahi hai
Hai chahat abhilasha ka harek chan saaswat ho
Mana har abhilasha puri nahi ho sakti 
Par puri karne ki kasis dil mein to rahti hai
Kuch meri galti aur samaj ki bhet chadhi hai abhilasha
Aur jo bachi wo mere aandar hi ghut rahi hai
Mai sahej rahi hu har pal use 
Jene ki wajah se saans ki door se baandh rahi hu har pal use
Dar hai agar un abhilashon ko bhi bhet chadha diya
to ji kaise paaungi
Marungi to nahi par jinda lash jarur ban jaungi
TO BE CONTINUED........... # Jindagi ki chaah

# Jindagi ki chaah #poem