Nojoto: Largest Storytelling Platform

#OpenPoetry *Toofan hoon, halke me mat Lena..* Ni

#OpenPoetry *Toofan hoon, halke me mat Lena..*

Nikal padha hoon Manzil ke taraf,ab na rukhna Kahi..raste chahe aasan ho ya mushkil ab rukna nahi..Kardiya Maine mushkil raston Ko bhi aasan..

*Toofan hoon,Halke me mat Lena..*

Har ghadi sochta hoon unke bareme..jinhone jeena sikhaya..her Manzil ka rasta dikhya..her samye saath diya. Kardunga ek din unke bhi umeedein puri..khush hojayenge wo bhi ek din aur kahenge Sabse..

*Toofan hoon,halke me mat lena..*

Diya hamne her Waqt unka saath jine hamari zaroorat thi,Kiya unka Sara kaam jine hamari zaroorat thi. Pata nahi unhe kya hua ki,hamara saath aur hamara kaam unhe bojh lagne Laga..hum bhi unse na shikwa Rakha,bus Nikal padhe waha se ye kahte ki..

*Toofan hoon,halke me na Lena..*

Is bazar me ajkal ronak khatam hogai hai,log raste Badal Rahe hai aur mafil logo se Khali hogai hai..lagta hai unhe galat faimi hai ki.. bazar unhi se ronk the,raste unhi se shuru hote the aur mahfil bhi unse hi rangeen thi..Kahdo Jake unhe..Unse phle bhi bazar me ronk thi aur rahegi,raste bhi Khali the aur rahenge aur mafil bhi rangeen thi aur rahengi, kyu ke..

*Toofan hoon,halke me mat Lena..* 

Karoonga her Jung Fateh  itni taqat toh mujhme hai, Dedunga her mushkil Ko maar itni hasiyat toh mujhme hai, Karoonga duniya pe Raaj,itni himmat toh mujhme hai.

*Toofan hoon,halke me mat Lena..* #OpenPoetry