Nojoto: Largest Storytelling Platform

Hospital ke bed no 15 par uski dadi thi or 16 par

 Hospital ke bed no 15 par uski dadi thi or 16 par meri dadi
Bahane bahane se mai usase baatein karta or wo yuhi muskura deti
Apni dadi se shayad use bahot hi lagav tha isliye hi shayad, jab ham canteen me chai pine jaate to wo khul ke ro deti or mujhse kehti meri dadi ko kuch hoga to nahi na ?
Main use kuch na bol pata bas yahi kehta daro mat wo thik ho jayengi .
Pata nahi kyu mujhe uski har ek baat acchi lagne lagi dil hi dil me uski muskan pyari lagne lagi.
Main harr roj subah shaam dadi se milne jata tha 
Ham roj milte roj baatein hoti pichle 10 dino me to mujhe uske bachpan ki best friend ka naam bhi yaad ho gaya .
Kuch mahine bhar chala ye silsila fir ek din uski dadi gujar gayi ,us din wo mujhe gale lag kar royi shayad wo bhul gayi thi ke us waqt waha uske papa bhi the unhone gusse me aakar mujhe usase alag kar diya wo rote huye bas mujhe dekhati rahi or mai uske ansoo bhi na ponch saka .

Hospital ke bed no 15 par uski dadi thi or 16 par meri dadi Bahane bahane se mai usase baatein karta or wo yuhi muskura deti Apni dadi se shayad use bahot hi lagav tha isliye hi shayad, jab ham canteen me chai pine jaate to wo khul ke ro deti or mujhse kehti meri dadi ko kuch hoga to nahi na ? Main use kuch na bol pata bas yahi kehta daro mat wo thik ho jayengi . Pata nahi kyu mujhe uski har ek baat acchi lagne lagi dil hi dil me uski muskan pyari lagne lagi. Main harr roj subah shaam dadi se milne jata tha Ham roj milte roj baatein hoti pichle 10 dino me to mujhe uske bachpan ki best friend ka naam bhi yaad ho gaya . Kuch mahine bhar chala ye silsila fir ek din uski dadi gujar gayi ,us din wo mujhe gale lag kar royi shayad wo bhul gayi thi ke us waqt waha uske papa bhi the unhone gusse me aakar mujhe usase alag kar diya wo rote huye bas mujhe dekhati rahi or mai uske ansoo bhi na ponch saka .