Nojoto: Largest Storytelling Platform

Abhi bhi yaad hai mujhko woh bachpan ka zamana ka

Abhi bhi yaad hai mujhko
woh bachpan ka zamana 
kaapi ke panno ko fadkar 
woh kagaz ki kashti banana 
ho jab kabhi bhi barishein to behte paani mein unhein terana

Abhi bhi yaad hai mujhko
woh bachpan ka zamana 
har waqt dadi se ek rupeya mangte rehana
lakar ek atthanni ki goliyan duji ko gullak mein daal dena

Abhi bhi yaad hai mujhko
woh bachpan ka zamana 
jab koi bada dantta tha to jakar ek kone mein chup jana
humein sisakta hua dekh kar unka humko gale se lagana

haan abhi bhi yaad hai mujko woh bachpan ka zamana

©Jaspal Bhogal 
  #Woh bachpan ka zamana

#Woh bachpan ka zamana #कविता

158 Views