Nojoto: Largest Storytelling Platform

Udna mujhe sikhaaye aur khud dharti par aake baith

Udna mujhe sikhaaye
aur khud dharti par aake baithjaaye
kya hai yeh maajra?
sabkuch choddh kabhi apne pankh bhi phaila
apni bhi keemat samajh
 zara apne khayalon ko bhi de jagah

na duniya ki baaton se
fark kar
khudko le khudse mila 
jo seekha sab bhoolkar naya itihaas bana
kar sakta hai tu kaabil hai iske
vishwas rakh vishwaas hai tujhpar
ab naam jo hai ab usko mukkamal karke dikha
Haar-jeet ki fikar choddh ab safar se pyaar karke dikha....

humaari tumhaari to chalti rahegi
behtar hoga khudka ek aur behtar VERSION le bana
chunauti aati usi ke liye hai 
jo saamna karne ki himmat hai rakhta
zaroori nahi sirf ek kadi ho teri us se judi
aankhein khol saamne TERA AASMAAN hai khada 
mat samajh bojh isko khudpar
chaahe ruk,baith,thak chaahe haar 
rukne na de khudko yeh sapna nahi 
HAQEEQAT ka hai saamna

THODA KHUDKO BHI ZARA
LE KHULE AASMAAN KI SAIR KARA.....

©Vidushi Dubey #udja #sapnesachhotehain