Nojoto: Largest Storytelling Platform

Tera hi rang lagta hai Idhar udhar udte gulalo me

Tera hi rang lagta hai 
Idhar udhar udte gulalo mein
Bacho ke rang bhare gubbaro mein
Har taraf har jagah 
Tera hi rang lagta hai 

Ye laal rang jo chehre par lagaye ghoom rahe hai log 
Jab tu sharma ke apne gaal hatho se chipa leti 
Ye laal rang bilkul waisa hi lagta hai 
Ye bhi tera hi rang lagta hai 

Ye neela rang jo asmano ki taraf phenkte hai 
Jab tu barish ka pani hatheliyo me bharkar
Neele badalo ki taraf uchalti hai 
ye neela rang bilkul waisa hi lagta hai 
Ye bhi tera hi rang lagta hai 

Ye hara rang jo pichkariyo me bhar kar,  
ek Dusre ko rangte aur chipte hai 
Jab tu hina hathon me laga kar 
Us mehendi ke rang ko idhar udhar lagne se bachati hai 
Ye hara rang bilkul waisa hi lagta hai 
Ye bhi tera hi rang lagta hai 

Ye safed rang jo log chehre pe rang gehra na ho islie lagate hai 
Jab teri aankhon se berang rang aansu behte hai
Ye safed rang bilkul waisa lagta hai 
Ye bhi tera hi ek rang lagta hai 

Aur ye jo gulabi rang hai 
Jab tu hansti hai aur teri muskurahat hathon se aankhon tak pahuch jati hai 
Ye gulabi rang bilkul waisa hi lagta hai 
Ye bhi tera hi rang lagta hai 
Desh videsh jo rang bhaya 
Sab tera hi rang lagta hai
Sab tera hi rang lagta hai

-Tanuj Holi and You 🤩🧡

Holi and You 🤩🧡 #कविता

Home
Explore
Events
Notification
Profile