Nojoto: Largest Storytelling Platform

Meri Aankhon mein Zara khudki Tasveer dekhlo, Jee

Meri Aankhon mein Zara khudki Tasveer dekhlo,
Jee bhar bhi jaaye toh bhi ekbaar phir dekhlo.

Tu puchhti hai ki kyun pyaar kar baithe mujhse,
Jo abbtak pta na Chala toh khudko beshumaar phir dekhlo.

Abbtoh Yun lagi hai mujhe Talab tujhe paane ki,
Jaise Chand ke liye Arsh ka Mahshar dekhlo.

Kon kehta hai ki dard hai khar ke chubhne mein,
Meri maano toh ekbaar Siyaasat-e-yaar dekhlo.

Bas abb Aakhri khwahish hai ki Tujhse Mera Raabta ho,
Khyaalon mein hi sahi,par mujh mein apna yaar dekhlo.

Abb Jo bichhde toh milege kisi aur Jahaan mein,
Jaate Jaate hi sahi,Meri Aankhon mein Zara pyaar dekhlo. #NojotoQuote Tasveer
#nojoto #nojotohindi #nojotourdu #shayari #urdupoetry #hindipoetry Satyaprem Internet Jockey