Nojoto: Largest Storytelling Platform

Main aur wo... duniya ke do alag alag pehlu the.

Agar main north to wo south. Agar main east to wo west.
Par north- south aur east-west mein bhi to kayi similarities hoti hai.
Hai alag, par hain bahot paas.
Wo chaand ki tarah shaant aur sayyam aur mai taaron ki tarah hot😉.
Wo un pedon ki tarah jo dhoop khud shenkh kar dusro ko sheetalta pradaan karta hai aur main un phoolon ki tarah jo jyada dhoop se murjha jate hai.
Wo us jharne ki tarah jo sirf behta jaaye aur main us samudra ki tarah jisme koi halchal bhi nhi hoti.
Wo us upjau mitti ki tarah jo dusro ko ugne ki himmat deta hai aur main registaan ki us dhool ki tarah jise apna thikaana bhi nhi pata. # nojoto # main aur wo...

# nojoto # main aur wo... #Poetry