Natural Morning Kisi ki yaad bhi ab aati nahi Dil naav ka koi maajhi nahi Tum main aur yeh tanhaayi Dil mein ab jagah baaki nahi Mujhe Pata hai Woh baat Jo baat tum ne baatyi nahi Mai roya ki jab sab hansey Kyun mujh ko hansi aayi nahi Zehar ko zehar kaat ta hai Dard do dawa yaani nahi Zinda hun main ek arsey se Aur toh koi pareshaani nahi kyun mila tujhe hi deewana Aur mili mujhe deewani nahi Hamari jo kahani hai woh Afsos ki Woh hamari nahi Tere bina meri yeh zindagi Guzar gayi bas guzaari nahi Adab ko hai yeh mushkil ki Sab jaun hain koi jaani nahi Kuch toh lihaaj karo ANANT Zehar hai Mai-o-paani nahi Kisi ki yaad bhi ab aati nahi Dil naav ka koi maajhi nahi Tum main aur yeh tanhaayi Dil mein ab jagah baaki nahi Main ek misra hun maano Woh jis ka ki koi saani nahi