jab insaan preshan ho jata hai to bhagwan se kehta hai Insaan, Ram mere zindgi k kuch aise panne palat de... Jo kal aane wala hai wo aaj aa jaye... Jo kal jane wala hai aaj chala jaye... Taki mien bun lu in lamho ko apni yado ki dor mien... Kya pata waqt mile na mile jeevan k us choor mien... Kabhi kabhi sochta hu kyun KAL bana diya tune, Isi ke chakkar mien AAJ ko bhula diya tune... Jeene deta hume AAJ ke intezer mien, Kal aaj aur kal ka chakrvyu bana diya tune bekar mein.. Pehle se pata hoti mujhe teri har marzi AAJ mien... Beetana to jo AAJ hi beet jata na hoti koi fikar baad mien... Kyun bana diya ye KAL tune bekar mien..... Ab samajh raha hu mien kyun bana diya tune ye kal aaj aur kal ka chakrvuy is sansaar mien... Agar na banata tu chakrvuy to kon pujta tujhe mandeer masjid aur majhaar mien., Agar Kal ki kise fikar na hoti to kon chadata sone k haar tere darbar mien... Kal ki roti chah mien aaj bhookha soya hu mien Tu kya jane mere dil ka dard..beete hue kal mien kitne roya hu Kyun bana diya ye KAL tune bekar mien..... Ram ji kehte hai.... Agar na banata mien ye aaj, kal aur kal ka chakrvuy is sansaar mien.. To bech deta tu insanyit har bazar mien . Agar kal ka kise dar na hota, or na hota kisiko beete hue kal sabak Bhai bhai ka katil hota aur mata hoti kumata Ankit #jeewan#bhagwan