Nojoto: Largest Storytelling Platform

TIRANGA jhuk jaye jab tiranga rashtriya shok me

TIRANGA

jhuk  jaye jab tiranga rashtriya shok me dukh bahut hota hai,
Bharat ma tere Lal k shaheed hone pe khoon mera bahut khaulta hai.
Bina jhande is dande me wo bat khan,
Lahrata tiranga dekhne ko Ji mera tadfta hai.

Kaise soi hogi wo ma beta jiska sena me hota hai,
Kitna royi hogi wo ma beta jab uska tirange me lipt ta hai.
Garv to bad me pehle to dukh hota hai,
Kya gujri hogi us pita pe Jo chirag apne ghar ka khota hai.

Sunni hogi khabar jab major ketan ke shaheed hone ki,
Char sal ki beti ne awaz Sunni hogi ma ke rone ki.
Kaise use koi samjhayega papa uske shaheed ho gye,
Sona tha use jiski god me
Whi bharat ma ki god me so gye.

Jazba uske sathiyo ka bhi khan kam hota hai,
Tainat ho jayenge fir usi jgha
Zazbat batne ka waqt khan hota hai.

Anatnag me shaheed Anil Himachal ka bhi ik beta tha,
25 ka khud 5 mah ki beti do hfte pehle hi ghar se lauta tha.

Ae veero tumko jhuk    k naman karta hun,
Jan apni dekar slamat rakha tumne ye vatan,
Ye tiranga tumhari akhiri sanso se hi lahrata hai.

:- Piyush Prarthi
  18/06/2019

Office thoughts
#office_diaries.