Nojoto: Largest Storytelling Platform

Teri jo khwasish poori nahi hui, uske liye koodna

Teri jo  khwasish poori nahi hui, uske liye koodna zaroori tha.
Teri har baatein jo kisi ko muskurana sikha deti thi, aaj woh hi khamoshi mein betha apne hi andar uljha hua.
Kisi ko na keh pana iske liye, kya koodna zaroori tha.
Tu toh bachpan se kam bolta tha, paar aaj kal teri insecurities ne tujhe achanak batuni bana diya ho, phir bhi tujhe kisi ne jhak ke pucha nahi  kya hua.
Kya iske liye koodna zaroori tha.
Jis ko tu maa papa jaisa pyaar karta ho aur achanak se woh guzarne ka khabar aye.
Kya iske liye koodna zaroori tha.
Tu jis dost  ke mussibat ke waqt datke khada tha aur usine tujhe dhoka diya ho.
Uske liye kya koodna zaroori tha.
Jis saapne tu apne liye nahi kisi aur ki zindagi banane ke liye mahant kar raha ho, aur tu abhi tak sapno se koso door khada ho.
Kya uske liye koodna zaroori tha.
Tu haar ke gir ke phir khada hogaya tha. Tu phir se gir gaya toh tujhe koodna zaroori tha.
Teri muskaan ko parakh ne wale teri dard ko na dekh pana.
Uke liye kya tujhe koodna zaroori tha.
Teri khwaab jo dheere dheere tutne lage, jis din tu khud ko kosne lage phir khudko sambhal na paya ho.
Koi bagal mein nahi jisko bata sake.
Kya Iss ke liye tujhe koodna zaroori tha.
Uss uchai ki soch rakhne wala kisi khai mein jism jhok ne ki naubat aye.
Kya tujhe koodna zaroori tha #koodna