Nojoto: Largest Storytelling Platform

flower competition tha hum log flower Lene Bridge

flower competition tha hum log flower Lene Bridge Ke Us Paar Gaye the Bridge Ke iss Paar Hamara college tha aur uss paar flower market.  wahan se flowers Kharid kar Main Aur Karishma dono  Wapas Aane Lage Wapas Aate waqt Socha Bridge hi to cross karna hai FIR to college hai To Humne taxi nahi li piche se kuch Awaz Hui ! Aisa Laga Mano Koi Hamein khaa Jayega Hamara mazak UdaTe Hue, ghatiya comment pass karte hue teen ladke bike se Hamare Picha kar rahe the mai Aur Karishma bhut dar gaye Ek Pal Ko khayal aya ki hum Nadi Mein Khud kar Apni Jaan De De .
 jitna hum dar rhe the wo log or dara rhe the, Pehli Baar Maine Dekha, mehsoos kiya ki kuch ladke iss had tak gir sakte h??  Dil Ki Dhadkan Jor jor se chik rahi thi mano ye kah rahi thi ki Bachao Hamein In darindo se din ka Waqt tha Ab Bridge ke beech mein Ham Kidhar Jaate?  Na Koi taxi ruk Rahi Thi Aur Naa hi Koi gadi wala Hamara Dard samajh Pa raha tha Bheed Mein Sab Chalte jaa rahe the Sab apne aap Mein Madhosh the.  maine Ek taxi wale Ke Samne jakar use roka aur us  taxi par baith Gayi us Waqt Aise Laga Jaise Hamari Jaan Hamare hatheli par thi. fir bhi hum iss sharm Se mare ja rahe the ki log in ladkon ko Hamare Piche Dekhenge to  Hamare bare mein kya Sochenge ? # terrible memory