Nojoto: Largest Storytelling Platform

Aaj ke adhunik yug me uplabdh har kuch hai Fir bhi

Aaj ke adhunik yug me uplabdh har kuch hai
Fir bhi kyun yuvavarg asantusht hai? Kyun unke jivan me santosh ki bhavna lupt hai?
Kaaran ek hi; Ikchha hoti puri ek, to kaamna hoti dusre ki
Jitna chahe mile, kami lagti sada paise ki
Kyunki khushi dhundte hum cheezon me
Dhan ke pichhe hum apno ko lage khone
Shaano-shaukat ke samne maa-baap lagein baune
Zameen-Jaydaad par rishton me ladai lagti hone
Sochte nahi hum kya lekar jayenge mrityu par
Sharir chhod atma akeli hi jayegi upar
To paane ki bajaaye kyun na soche kuch dene ki
Kar de neki Mile badle me kuch na bhale hi
Ankhein mili do par Sabko ek nazar se dekhe bhi
Chahe purush ho ya stri, Manushya ya Pashu
Vyakt karne ke tarike me bhed par bhavnayein eksi
Kisi aur ki soch se khudko baandhon nahi
Dosh ikchhashakti ka hai Parampara ka nahi
Apne Kapdo se jyada rakho apni soch nahi
Kyunki safalta wahi tum me khoj rahi
#Astitva
 #gif Adhunik Yug
#Astitva #Vaakchhand #Origin