Nojoto: Largest Storytelling Platform

Kash mai panchi hota Kash mai panchi hota Ud jata

Kash mai panchi hota
Kash mai panchi hota
Ud jata pankh felakar 
Door gagan me jakar
Tinke chun chun k mai lata
Tinko se buni rajayi mai
Mai yun Araam se sota 
Kash mai panchi hota! 
Kash mai panchi hota! 
Jab chahe unchayi pa lun
Jab chahe Jami pe pag dharu
Virat dushman sammukh ho
Kinchit bhi na mai daru
Har sanjh mere shor se hoti 
Har bhor mere gunjan se hota 
Kash mai panchi hota! 
Kash mai panchi hota! 
Har ahat pahchan leta 
Har Dushman   baanp leta
Drasti door tak rahti meri
Har Pal koso naap leta
Kitna bhi uncha Ud Jata
Mujhe bhay na girne ka hota 
Kash mai panchi hota! 
Kash mai panchi hota!
Kash mai panchi hota
Kash mai panchi hota
Ud jata pankh felakar 
Door gagan me jakar
Tinke chun chun k mai lata
Tinko se buni rajayi mai
Mai yun Araam se sota 
Kash mai panchi hota! 
Kash mai panchi hota! 
Jab chahe unchayi pa lun
Jab chahe Jami pe pag dharu
Virat dushman sammukh ho
Kinchit bhi na mai daru
Har sanjh mere shor se hoti 
Har bhor mere gunjan se hota 
Kash mai panchi hota! 
Kash mai panchi hota! 
Har ahat pahchan leta 
Har Dushman   baanp leta
Drasti door tak rahti meri
Har Pal koso naap leta
Kitna bhi uncha Ud Jata
Mujhe bhay na girne ka hota 
Kash mai panchi hota! 
Kash mai panchi hota!
balwantrautela5554

मलंग

New Creator