Gazal aapke lahzo me ho to maza kuch aur hota h agar un gazlo ka tasawwar mai hu to maza kuch aur hota h, Aankho se koi sher jo kah de to maza kuch aur hota h, palko k ishare ko jo padh le to maza kuch aur hota h, maza un Maekhano ka kya, Nasha jo sher k lahzo me ho to maza kuch aur hota h, Maza ayyasio me kaha, hzaro thokro k kamyabio ka maza kuch aur hota h, "Ana" jo takhallus mera , agar unme "Mai" na ho to maza kuch aur hota h, Gazal jo mere lahzo me ho to maza kuch aur hota h -Shad Ana Ana