Nojoto: Largest Storytelling Platform

Dono Jahan Me Jo Sab Se Juda Hai Haa Wo Khuda Hai

Dono Jahan Me Jo Sab Se Juda Hai 
Haa Wo Khuda Hai...

Jo Titli Ke Naazuk Pairo Me Parwaaz Deta Hai....
Banda Harr Muskil Me Ussi Ko Aawaz Deta Hai...

Haa Wo Khuda Hai...

Wo Pattharon Se Bhi Nanhi Qaaliya Nikaal Deta Hai...
Apne Hone Ki Har Jagah Yu Misaal Deta Hai...

Haa Wo Khuda Hai...

Ussi Ne Chaand Ko Thandak Bhakshi...
Aur Fir Sitaaron Se Aasman Ko Raunak Bakshi...!
Haa Wo Khuda Hai...

Haa Wo Khuda Hai Jo Dariya Ko Rawaani Bakshta Hai...
Haa Wo Khuda Hai Jo Phoolo Ko Jawaani Bakshta Hai...

Haa Wo Khuda Hai Jo Baadalon Se Paani Bakshta Hai...
Haa Wo Khuda Hai...
Jo Dariyaa Ko Samandaar Me Milaa Deta Hai...

Haa Wo Khuda Hai Jo Mehnato'n Ka Silaa Deta Hai...!
Haa Wo Khuda Hai Jo Dono Aalam Ka Maalik Hai...!

Haa Wo Khuda Hai Jo Dono Aalam Ka Khaalik Hai...!
Haa Wo Khuda Hai Jo Qaadir Bhi Hai Gaffar Bhi Hai Sattar Wo Hi Khuda Hai...! #khuda #nojoto