Nojoto: Largest Storytelling Platform

Eid Ye Eid jab jab aati hai, bohot si yaadein sat

Eid

Ye Eid jab jab aati hai, bohot si yaadein sath le aati hai
Wo Riyaz sir k ghar ki meri pehli Eid ki kheer
Wo Rhoma k ghar ka halwa
Wo Farooq ka kheer ka dabba jo hostel me khulta tha
Wo Pista House ki Veg Haleem jo mjhe kabhi nahi bhayi
Wo Hyderabad ki Biryani, haan haan veg biryani, I mean pulao
Wo ghar ki gali ki masjid aur logo ka gale milna aur bohot kuch

Kuch alag sa nata raha hai mera Eid se,
Shayad wo sham ki azaan ya maghrib jo mai roz sunta tha, usne kuch gehra rishta bana diya tha
Ya wo mezzin ki awaaz jisme alag hi akarshan tha, meethapan tha
Ya mere wo do makan maalik jinhone kabhi mjhe alag nahi samjha
Aur aise bohot se dilchasp vakye, ye sabne eid ko mere liye thoda jyada khaas banaya hai
Mjhe kabhi intezaar to nahi raha lekin ramzan ka mahina jab bhi shuru hota hai,
 to mai eid ka intezaar jyada ummid k sath karta hu 
Shayad unke liye jinhone pure mahine roze rakhe hai, mai to ek din bhi nahi kar pata
Aur aisi bahut sari baatein jo jehan me hai aur mjhe kahi na kahi jode rakhi hai is tyohar se

Lekin Is baar ki Eid thodi alag hogi, ghar ki kheer ghar pe hi khatam hogi
Biryani to banegi par bat nahi payegi, whatsapp status pe dalegi aur 24 ghante me gayab hojaegi
Dost sath nahi honge, nahi purane hyderabad ki sair ki jayegi
Eid mubarak ho, iska khayal to rahega lekin gale lagke badhai nahi di jayegi
Na bacche idi mangenge, na hi bado ko itra lagayi jayegi
Log khush to bohot honge par khushiya ghar ki chaar diwaro tak simat kar reh jayengi
kyuki is baar ki eid thodi alag hogi,

Shayad chand aur taare ki duri bhi thodi adhik hogi
Khoobsurti to utni hi rahegi lekin mehsoos alag hogi
Sharara bhi pehna jayega aur Kurte ki jhalak bhi hogi,
Bs lucknowi jutiya kaam na ayengi, na hi ghar ki dahliz salib hongi
Eid is baar bhi dhoom dhaam se manegi, lekin thodi alag hogi

Ghar par hi sahi, chalo is baar ki ye alag wali eid manate hai, 
namaz na padhi jaye to koi gal nahi, ghar par ek diya jalate hai
Waise to haram hai lekin dosto k vaaste, ek jaam mohabbat ka chalkate hai
Ghar par hi wo eid wali sevai kheer banate hai
Status par hi sahi Faizi, Faizan, Nadim, Salman, Ahmed, Rehman, Sabir, Ehsaan, 
Farooz, Zeeshan bhai ki kheer ka lutf uthate hai
Chalo ye alag wali Eid thodi alag manate hai

Eid Mubarak!! #eidmubarak