Nojoto: Largest Storytelling Platform

Mere man me hamesha ek sawal rehta h ki kyu har sa

Mere man me hamesha ek sawal rehta h ki kyu har sawal ka jawab nahi hota?
Jab v mai khud se poochti hun ki kya tum mujhe tum pasand ho to jawab ha nahi hota
to phir kyu tum mujhe sabse achhe lagte ho is sawal ka mere pas koi jawab nahi hota.
Pata nahi kyu har sawal ka jawab nahi hota.
Jab v mai khud se poocti hun ki kya tum mere liye zaroori ho to jawab ha nahi hota par kyu in aankhon ko roz tumhara didar hona zarurat si lagti h is sawal ka mere pas koi jawab nahi hota.Na jane kyu har sawal ka jawab nahi hota.Jab mai khud se poochti hun ki kya tumhi mere chehre ki muskan ho to jawab ha nahi hota par kyu tumhe dekhte mai muskurane lagti hun is sawal ka koi jawab nahi hota.Na jane kyu har sawal ka jawab nahi hota.Jab v mai khud se poochti hun ki kya tumhe dekhkar mere aankho mein haya aa jati h to jawab ha nahi hota par kyu tumhe dekhte hi ye palkein khud b khud jhuk jati h is sawal ka koi jawab nahi hota.Na jane kyu har sawal ka jawab nahi hota.Tumko ek bat batani thi ki jabse tumhara didar hua h mera rang sunehra ho gaya h.Mere chehre pe laali aur muskan ka pehra ho gaya h.Par tum mujhse kabhi ye mat poochna ki mai tumhe chahti hun ya nahi kyuki har sawal ka jawab nahi hota.Waise achha hi h ki har sawal ka jawab nahi hota. 🥰🥰🥰🥰🥰

roshnisingh2502

Roshni Singh

New Creator

🥰🥰🥰🥰🥰