Nojoto: Largest Storytelling Platform

Jab Alfaaz koi Sawaal ban Jaaye, To Samajh lena, I

Jab Alfaaz koi Sawaal ban Jaaye,
To Samajh lena, Imtihaan bad gaye hain Zindagi me.

Jab Alfaaz Kisi Ko shaant kara de,
To Samajh lena, Honsle bad gaye hain Zindagi me.

Jab Alfaaz Koi Taqraar kara de,
To Samajh lena, Faasle bad gaye hain Zindagi me.

Jab Alfaaz Roothe hue ko mana le,
To Samajh lena, Pyaar badne laga hai Zindagi me.

Jab Alfaaz Kitaab ban jaaye,
To Samajh lena, Raaste ban rahe hain Zindagi me.

Jb Alfaaz Panno pe Shor Karne lage,
To Samajh lena, Sannatte Bad gaye hain Zindagi me.

Jab Alfaaz Haqiqat ban jaaye,
To Samajh lena, Khwahishein bad gayi hain Zindagi me.

Jab Alfaaz Duniya me Pehchaan kara de,
To Samajh lena, Manjil mil gayi hai Zindagi me!!!!! #Alfaaz