Nojoto: Largest Storytelling Platform

Gopalganj jile ke kirti chowk ki aathvi gali ke pa

Gopalganj jile ke kirti chowk ki aathvi gali ke paanchve makaan ka toota sa lakdi ka darwaza aadhi raat sade teen baje, 
Ek bar fir baj pada,
Nahi ye mera mehaboob ya aashiq nahi,
Mera pati parmeshwar tha, 
Man me zara si narazgi or umadta hua dar tha 
Main ise apne pallu me samet kar darwaza kholti hi hu, 
Lekin isse pehle ki wo mard nashe ki chaadar me lipta or sharab ke amrit sa mehekta hua seedhe mere kadamo gire, isse pehle me bolti hu,
Ji Kya hua, Bahut raat ho gayi...
Or ye 7 uktiyaan jaise hamari 7 janam ki shaadi ko tumhare 7 khoon maaf karne ki manzoori de gayi. 
Mere haath ko marodte huye, 
Apne daanto ko peeste huye
Mere sar se deewar ko khoon se rangte huye, 
Apni bazuye sikodte huye
Meri cheekho ko, meri siskiyon ko, meri anginat khamoshiyon ko sannata banate huye, 
Apni tez awaaz me bachho ko chup kar, so jaane ko bolte huye, 
Mere rang, mere aakar, meri kaaya ko dahej me tolte huye 
Apne purush samajik ahenkaar ko meri jism ki aag se zinda rakhte huye, 
Mere gulabi gaalo pe ungliyaan chhapte huye, 
Apne mard numa auzaar ko Mere surango me bhedte huye, 
Har raat tum ye saabit kar dete ho ki-
Milte honge biwiyo ko dev ya allah ya ishu ya wahe guru ya parmeshwar apne patiyo me,
Mujhe to sirf mera narag mila hai.

Tooti si mook deewaro se,
chatakte se band darwazo se, 
thar thar kaanpti us saankal se, 
chheen ho chuki us shaadi ki saree se, 
neele padh chuke un ghaavo se, 
Riste huye us sookhe khoon se,
Banjar ho chuke un hontho se,
Neeras ho chuki un dardnaak aankhon se,
Me bas yahi keh na chahti hu ki-
Bas ab bahut ho gaya.

 #DPF