Bayaan-E-Jazbaat Alfazo se kar na sake Bin bataye, Bechaini Seh bhi na sake! Dil E Dar~ se Khali haat na Laut sake Peshaani se Tadap mita bhi na sake.. Dil ki baat kisi se chupa na sake Malike-E-Dhadkan ko kuch bata bhi na sake! Bojh E Jazbaat ki Thakawat hata na sake Zimmedar E galti uthaa bhi na sake! Dard E Akelapan ko Hara na sake Tanhai Bardaasht kar bhi na sake! Mehsoos E Mohabbat se door bhaag na sake Jee bhar ke apne liye Ro bhi na sake! Khayal E Bewafai soch na sake Unse wafa kar bhi na sake! Masoom sa Dil parakh na sake Saathi ko sambhal ke rakh bhi na sake! Galti E Maafi maang na sake Unko kabhi maaf kar bhi na sake! Paas uske jaa bhi na sake bardasht E Judai kar bhi na sake! Kaise kahe ... Muskurate he unki Saari harkato se Kaise kahe... Hume to Mohabbat hai unki is Nafrat se! Bayaan E Jazbaat kar na sake! #Bechain