Nojoto: Largest Storytelling Platform

August 2012 ki bat hai, main delhi public school m

August 2012 ki bat hai, main delhi public school mein class 12th mein padti thi. aur us din, main ne apne school se half day liya aur bahar akar Amit jo mera boy friend tha aur mere school ke peeche hi uska ghar tha…!! usko phone kar ke kaha ki …vo akar apni bike se mujhe mere ghar tak chhod de. Amit ne kaha ki vo 5 minute mein aa jayega par hamesha ki tarah 5 min ke 25 min ho gaye the par vo nahi aaya. main bahar khadi hokar uska wait kar rahi thi, phir lagbhag 30 min ke baad vo aaya , mujhe Amit pe bahut gussa aa raha tha aur jab maine usse yah puchha ki itni der kaise ho gayi to usne kaha ki vo TV dekh raha tha. yah bat sunakr to mujhe aur bhi jyada gussa aa gaya aur maine use ghar vapas jane ke liye kah diya. phir  Amit ne sirf dikhane ke liye mujhe “I am sorry ” kaha.!! muhje pata tha ki usne mujhe dil se “sorry” nahi kaha. par chalo main is bat se khush thi ki usne atleast “sorry” to kaha. par kuchh hi dinon mein uska yah “sorry” kahna uski adat ban gaya. shayad “sorry” vo sirf isliye kahta tha taki usko aage koi explaination na dena pade, aur bat vahin par khatam ho jaye  aur muhje uski yah bat kabhi bhi achchhi nahi lagti thi.  
 
 kyunki agar vo kuchh galat karta hai to uska explaination usko dena chahiye. sirf “I am sorry ” kah dene se sab kuchh thik nahi ho jata na. par shayad amit is bat ko samajhne ko taiyaar nahi tha aur na hi apni adat ko sudharne ke liye aur hamesha ki tarah vo galti karta raha aur sirf “sorry” bolkar bat khatam karta raha. maine kafi koshish ki vo is bat ko samjhe. akhir main usse pyar karti hun aur vo mujhse aur ek love relationship sirf “sorry”  se nahi chalti. relationship mein understanding ka hona bahut jaruri hai.  par amit kuchh samjne ko taiyar hi nahi tha shayad… khair, meri kafi koshish ke baad bhi amit ne apna attitude nahi badla aur finallly i decided to break -up our relationship aur tab se maine usse bat aur phone karna band kar diya tha. Isi tarah 2 mahine bit gaye. par shayad main amit se itna pyar karti thi ki usko bhool pana mere liye thoda mushkil tha. isliye 2 mahine bad main ek din amit ke school gayi aur jab maine uske friends se amit ke baren mein puchha to unhone bataya ki amit ek mahine se school nahi aaya hai. maine amit ke mobile pe phone kiya to vo switch off aa raha tha. ab mujhe amit ke liye thoda tension hone laga tha. isliye maine apne ek  friend jo amit ka bhi friend tha usko phone kiya aur amit ke baren mein puchha to usne bataya ki Amit to ek mahine se hospital mein hai. main agle hi din amit se milne hospital gayi aur jaise hi main amit ke room mein pahunchi to maine dekha ki amit bed par leta hua tha aur kuchh bhi bol nahi pa raha tha . amit ko aisi halat mein dekh kar main rone lagi aur amit se bar bar kuchh bolne ke liye kahne lagi par amit bahut mushkil se hi kuchh bol nahi pa raha tha. mujhe dekh kar uski aankh se bhi aansu niklne lage aur usne mujhe phir se  “I am Sorry” kaha aur aankhe band kar li. Afsos ye ki  uske baad uski aankhe kabhi nahi khul payi. amit mujhe chhod kar kafi door chala gaya tha aur mujko aaj bhi is bat pe vishwas nahi hota ki amit ab is duniya mein nahi hai. ek mahine baad Amit ke mummy mere ghar aayi aur mujhe kuchh letters diye jo amit ne mere liye likhe the. aur jab maine uska ek letter khol ka pada to usme likha tha. my dear,  tumko baar baar sorry kahna mujhko bhi achchha nahi lagtaa tha. jis din tumne mere liye 30 minute wait kiya aur jab main late aaya tha  jis din  maine tumko sorry kaha tha us din main janbujh kar late nahi aya tha. us din pahli baar meri chest mein pain hua tha aur main behosh ho gaya tha aur jaise hi mujhko hosh aaya main vaise hi bahar tumhare pass aa gaya tha us din maine yah sab isliye nahi bataya kyunki mujhe pata tha ki shayad tumko meri baton pe yakin na aaye. aur uske bad maine jitni bhi baar tumko sorry kaha un sab ke piche yahi ek reason tha. i had a hole in my heart and God did not give me the chance to say I Love You for the lifetime. main bhi tumko bahut pyar karta tha, karta hun, aur karta rahunga.bas tumko yah sab kahne ki himmat kabhi nahi kar paya. i m sorry. i love you my angel … AMIT Kaash main Amit ko samaj pati… dard shayri

dard shayri