Nojoto: Largest Storytelling Platform

Fiza-e-saher lag rahi hai ab purfitan, chalo aek n

Fiza-e-saher lag rahi hai ab purfitan,
chalo aek naya ghar dhundha jaaye.

Bahot ho gaya zindagi ka rabt qarb se,
chalo ab tasalli se hi  jiyaa jaaye.

Ho gaye hai qaba bhi mele apne karam se,
chalo naya libas hi  banaya jaaye.

Jin daricho ki ki thi hamne kabhi marammat,
chalo aaj unka bhi hisaab liyaa jaaye.

chalte chalte pade huae aablo ko 
Manzil pe nahi, Raaho me hi geenaa jaaye.

mukammal hai har aek khalq apne aap me,
chalo ab  nakamo ki basti me  hi rahaa jaaye.

Teg - o- teer baazi ka hunar hame bhi hai malum,
bs bahot ho gaya ab,
Adavat ki iss jung ko qalam hi se ladaa jaaye.

Bahot ho gayi ab kirdaar saazi adna,
Chalo ab khud ka bhi istihaar nikala jaaye. Fiza-e-saher : Saher ki hawa
karb : dukh
qaba : kapde
purfitan : hangame wala, fitno wala
khalq : creation
teg : talwaar 
teer : teer
istihaar : Advertised

adnanalif1051

Adnan Alif

New Creator

Fiza-e-saher : Saher ki hawa karb : dukh qaba : kapde purfitan : hangame wala, fitno wala khalq : creation teg : talwaar teer : teer istihaar : Advertised #Poetry #ghazal #urdu #nojotowriters #nojotourdu #urduwriters #TST #sukhanwar #qafiyaa #radeef