#kalamkaar..Tum mujhe ek baar azaad panchi ki tarha riha tho karo na papa
aasman me udkar mujhe in khuli hawaon me jeene do na papa.
bachapan se hi aapne mujhe pyaar ki nazar se dekha tak nhi kya mai beti hun isiliye papa..
padai ke liye aapne mujhe bahth roka hai par mai awwal aayi hun mera natija tho dekhlo na papa.
aage mera sapna hai ki mai ek doctor banun meri saheliyan padne shaher jaarahi hai tum mujhe aage padne ki ijazat do na papa.
beton ke liye aapne jo paisa jama kiya hai mujhe nhi chahiye padai meri muft hi hai papa bus shaher chalkar mera clg dekkar mujhe thoda sa waqth do na papa.
beton ke liye paise jama kiye aur laad pyaar bhi bahth kiya par wo bete kuch bantho paaye nahi nikamme awaare ban chuke hai..
mai dil ki doctor bankar aagayi hun wapas ab tho beton ki tarha meri taraf pyaarse dekhtho lo na papa.