Nojoto: Largest Storytelling Platform

""KHUD KO BADAL LIYA HAI MAINE"" log Kahte hain m

""KHUD KO BADAL LIYA HAI MAINE""

log Kahte hain main bolta Bahut hu, 
wakht k saath khamosh rahna Sikh liya hai Maine...
log Kahte hain main bhavuk Ho jata hu, 
wakht k saath andaaz badal liya hai Maine... 
log Kahte hain main rota Bahut hu,
wakht k saath gham me muskurana Sikh liya hai Maine... 
log Kahte hain main safai Bahut Deta hun, 
wakht k saath khud ko kasurvaar thahraana Sikh liya hai Maine... 
log Kahte hain main Taane Bahut Deta hun, 
wakht k saath logo ke najariye ko khud me dhaal liya hai Maine... 
log Kahte hain tu dusro ko itna samjhata Kyun hai, 
wakht k saath ab har kisi ko paraya samajh liya hai Maine... 
log Kahte hain shayad khud ko badal liya hai Maine, 
par Haan ise badalna Kahte hain,
to sahi kaha khud ko khud se badal liya hai Maine.... 

---(GUSTAKHI MAAF) #khud #ko #badal #liya #hai #Maine