Nojoto: Largest Storytelling Platform
kusummishra4707
  • 45Stories
  • 10Followers
  • 347Love
    0Views

,Adrika Mishra

Life is lovely and adventure fully book and whose every page start with you and finish with you. Choice is yours how to make it..

  • Popular
  • Latest
  • Video
435932541990624d49fe6f2ae20310e3

,Adrika Mishra

Teacher se darti to mai aaj tak hu par socha nhi tha ki kabhi unki ladli beti bhi ban paaogi mujhe khud hi nhi pta chala aaj tak ki maine aisa bhi kya kiya teachers ke liye jo vo mujhe etna pyaar karti ki jab kabhi unke baare me sochti hu to aakhe bhar aati mujhe to ye bhi nhi pata kyu roti hu bas man se aaso nikalte or aakho se beh jaate hai vakayi mai lucky hu ki mujhe aise teachers mile jab bhi school jaati thi teachers mera chehera dekh kar khulkhila uthti thi or agar school na aao to unhe meri etni chinta lag jaati thi jaise mai school aati thi vo mujhe apni claas rok kar mujse mera haalchaal poochti thi mujhe pata chal ki ye sab meri teachers nhi meri maa hai jo etna chahati hai vaise to saare vakt ham kuch na kuch seekhte hai or keval ensaan se ya jaanver se hi nhi balki cheezo se bhi or khuda se bhi esliye khuda ko hame kabhi bura bhala nhi kehena chaihye vo 365 din duty karte rehete hamare liye Kyuki ham bacche hai unke. hame etne mauke dete hai hame bhale hi pta naa chale par ye such hai hame to hamesha unka sukriya ada karna chahiye ki unhone hame dharti par bheja or etni khoobsoorat dharti banayi hamare liye ensaan banaya taki ham sabki ahemiyat samjhe sabko jeena shikhaye sabki madad kare hame dil diya taki ham logo ko samjhe unhe mehesoos kare naa ki unme koi antar kare. par ham kuch cheze karna aksar bhul jaate ye dharti bhagwan ne hamare liye banayi eska khayal rakhna hamara ahem farj jaise ham apno ka rakhte vaise to poori duniya hamara parivaar hai esliye happy teachers day to whole world and god #teachersday2020
435932541990624d49fe6f2ae20310e3

,Adrika Mishra

Khubsoorati vo nhi jo chere par dikhti hai asli khubsoorati to vo hai jo dil se nikhar kar  seedhe chehere par jhalakti hai Real beauty....

Real beauty.... #Talk

7 Love

435932541990624d49fe6f2ae20310e3

,Adrika Mishra

कविता लेखन के सिलसिले में!!!!! 
मेरी उलझने है इतनी सारी है कि खुद की सोच खुद  पर ही  भारी है
और दिमाग में विचारों की अलग से मारामारी है 
खयालों की सीडीं भी दिन भर बढ़ती ही जा रही है
शब्दों के चुनाव में मेरा बार-बार जासूस वाली नजरों से ताक झाक करना भी तो बेहद  जरूरी है
इस बीच हो रही कविता प्रतियोगिताओं में अपनी हिस्सेदारी देनी भी तो मेरी एक अपनी जिम्मेदारी है
खुशी, गम, नाराजगी जैसे अनेक रसीले भावो के बिना तो 
आजकल हर कविता मानो जैसे एकदम अधूरी है
क्योंकि कविता में जान डालना केवल इस रस की ही अपनी एक कलाकारी है
लेकिन ना जाने मगर कुछ ना कुछ कमी है जो हर बार मेरी कविता को फीकी बना दे रही है
पर कोशिशों के इस  सफर में मेरी यात्रा अभी भी जारी है
शायद जज्बातों को समझाने में मुझे थोड़ी मुश्किल आ रही है
इसीलिए मेरी कविता औरो तक पहुंचने में  इतनी देर लगा रही है 
वैसे भी कामयाबी के रास्ते पर चलने वालों से तो पूरी दुनिया हमेशा ही किसी न किसी मोड़ पर परीक्षा लेती ही रहती है
तरकीबो के बांध से ही तो मैंने अपनी बाकी सारी  रचनाएं सवारी है 
और अब आगे भी इसी तरह ही अपनी सूझबूझ से  मुझे अपनी लेखनयात्रा भी कायम रखनी है
मानती हूं कि दुनिया में काफी लेखक है जो मुझसे कई ज्यादा प्रतिभाशाली है
 लेकिन मुझे तो अपने अंदर की छुपी हुई प्रतिभा को ही निखार कर सबके सामने लानी है
मेरी इस कविता की जो  झलक आप सब को यहां  दिख रही है  वो मेरी अपने ही कविता लेखन की एक परेशानी है
जिसे मुझे हर हाल में जड़ से मिटानी  है
ये सब बातें मेरे लिए कोई दुख की बात थोड़ी न है बल्कि यह तो मेरी खुद से हो रही ही एक जंग की निशानी है 
और यह कविता तो दुनिया के हर  लेखक के जीवन के  शुरुआती दौर में घटने  वाली एक आम  कहानी है 
जिसे दी मैंने बस अपनी जुबानी है। #Problem
435932541990624d49fe6f2ae20310e3

,Adrika Mishra

Baarish bhi hamse kitna kuch keheti hai
Ek baar jara uski baato par gaur farma ke to dekho
Bundo se jab vo apni ek madhur sangeet nikaalti hai 
Ek baar jara us dhun ko apne kaano ko se sun ke to dekho
Chu ke tan jab vo hamare paas se gujarti hai
Ek baar jara us ahesaas me khud ko kabhi bheengo ke to dekho
Kacchi mitti me jab vo baras kar saundhi si khusbo charo taraf failaati hai
Ek baar jara Us mehek ko  apne jehen me utaar ke to dekho 

Baarish bhi hamse kitna kuch keheti hai
Ek baar uski baato par gaur farma ke to dekho
Hwa ki dishao ke saath  vo jab  tedi medi hokar apni bauchaare  jammen par kaske giraati hai
Ek baar jara befikr hokar us bauchar ke saath naach ke to dekho
Aksar hamare baramade me aakar jab vo hame pyaar se pookarti hai
Ek baar jara kabhi us pookar ko mulakaat me badal ke to dekho
Baarish ko khul ke jeena bahut aasaan hota hai
Bas ek baar jara sharam ko bhulakar apne kadmo ko barish ke paani me rakh ke to dekho

Baarish bhi hamse kitna kuch keheti hai
Ek baar uski baato par gaur farma ke to dekho
Mohabat ka mausum ese yuhi thodi naa kehete hai
Ek baar jara palko ko dhak kar dil ki najro se eski khubsoorati to dekho
Scchi dost ke ye saare farj nibhaati hai
Ek baar jara ese apna dost bana ke to dekho #raining

8 Love

435932541990624d49fe6f2ae20310e3

,Adrika Mishra

Mai aaj bhi usse bahut pyaar karta hu
Yaado ke sahare uski apni jindagi bitata hu
Bas subeh ki chaye me uske haath ka vo swad mai aaj bhi nhi laa paata hu
Neend nhi aati jab to phone me record uski sureeli awaj wala gaana sun ke so jaata hu
Uub jaata hu kabhi kabhi agar  akelepan se to apni saadi ka vo sunhera album dekhkar phir se khilkhila uthta hu
uske banaye hue ek chote se parivaar ka mai aaj bhi poora khyal rakhta hu
Esliye to Har roj bageeche me, uske naam ka mai ek  paudha lagata hu
Uske Janmdin par mai uska pasndeeda khaana banata hu
Or anaath baacho me baatkar usse kiya hua apna vaada nibhata hu
Kaamo me hota jab kabhi etna vyasat ki khud ka bnaya hua khana hi bhul jaata hu 
Tab muje vo aaj bhi awaj dekar khane ke liye pookarti hai
Duniya se alwida lene ka ab mera bhi samaye aa chuka hai
Es baat pe  khud ko khusnaaseeb maanne wala sayd mai pehela ensaan hu 
Kyuki mai ab sada ke uske paas jaane wala hu
Par jaate apna ghar or apni poori jaayedaad un anaath baccho ke naam karke jaa rha hu.....🙏 🙏 🙂 🙂 #Love

8 Love

435932541990624d49fe6f2ae20310e3

,Adrika Mishra

Pyaar me do logo ka ek saath rehena mayine nhi rakhta balki us pyaar ko har pal apne di ki dhadkano me mehsoos karna mayine rakhta hai.. #Love

10 Love

435932541990624d49fe6f2ae20310e3

,Adrika Mishra

Dhundhne wale ko to khuda bhi uski manjil tak pahucha dete hai lekin doosro me hmesha khud ke liye chahat Dhundte rehene wale log kabhi kabhi khud se khud ki chahat ko talashna hi bhul jaate hai # please  connect with yourself

# please connect with yourself #Talk

8 Love

435932541990624d49fe6f2ae20310e3

,Adrika Mishra

Bekar hai vo zamana
Jha hr koi parakhta h ek khubsoorat chehera
Kaale rang ko milta h keval bdsoorati ka
aashiyana
Bhul gye log sayd dil ka vo najrana
Gum gya khi radha krishna ka vo prishudh prem ka afsaana 
Banta jaa rha hai dheere dheere har ladka jism ki bhukh ka diwana
Toot rha dil se dil ka har rishta-naata
Ejjat ka khyal krna to bahut door ki baat hai yha to koi masoom pr dya tk nhi dikhata
Kamjoro par aajmaa ke apni takat ban rhe yha hajaro dhokebaaj ameer


Bekar hai vo zamana 
Jha hr koi parakhta h ek khubsoorat chehera
Jo bante hai bachpan me baccho ka sahara 
Chod ke chale jaate h aajkal bcche hi unhe bhudhape me besahara 
Visvaas ka nakaab pehen kar utha rhe log aajkal auro ki sarafat ka fayeda
Desh ke niyam kanoono ko todhne me jant
 ko bhi ab kafi maja aata
Pyaar ki bhasha yha ab koi nhi jaanta 
Kyuki aajkal to sabko bas gaali galoj or haata paayi ki bhasha se baat karna hi jyada accha lagta 
Nek dil walo ko bhi koi yha chain se jeene tak nhi deta


Bekar hai vo zamana 
Jha hr koi parakhta h ek khubsoorat chehera
Paiso ki gandi lat se yha ensaan pal bhar me heavaan ban jaata 
Riswat ki wajeh se desh ki janta ka hak us tak kabhi pahuch hi nhi paata
En jaalsaajo ke kaam me agar koi apni taang bhi adata to use apni jindagi se hath dhona padta
Apne swarth ke liye yha ka ensaan bejubaan jaavaro tak ko bhi nhi bakchta
Bhagwan tak ka dar en ghinone rakchaso ko nhi satata
Esliye es yug ka naam kalyug kehelaata. 

Bekar hai vo zamana
Jha hr koi parakhta h ek khubsoorat chehera #JMAANA
435932541990624d49fe6f2ae20310e3

,Adrika Mishra

Kaamyaabi ke andhadhund safer me agar aap khul ke jeena hi bhul gye to samj lijiyega ki aap kaamyaabi ki katputli ban chuke hai..... Khushi se ji mat churao kyuki gam jii churane ka mauka hi nhi deta... 😞😞☺️

Khushi se ji mat churao kyuki gam jii churane ka mauka hi nhi deta... 😞😞☺️ #Talk

11 Love

435932541990624d49fe6f2ae20310e3

,Adrika Mishra

Kitna rangeen hai ye kaagji seher yha sabki soch alag h or ekdum nyi hai or har din behetar se behetar hoti jaati hai
Yha har koi khul ke jeeta hai sab keval dilo se hi baate karte hai yha ... rehesya bhi hai, khamoshi, dard or mohabat bhi hai yha  etna  sukoon hai yha ki koi ladta nhi, kahi pahuchne ki kisi ko jaldi bhi nhi sayd yhi dil ki dunia h jha Har koi ek riste se hi judha hai saath hi sb aapas me ek doosre ko  samjte hai apne dil ki bhavnaao ko baatte hai sabdo ki mala ka bhi yha ananat bhaddaar hai har ek ke paas.. vo bhi anokhe se anokhe sabdo ka ..... jindagi ke chote chote khaas pal bhi yha hai, yha koi toothkar bikharta nhi balki uthkar aage badta hai koi darta nhi apne ateet se.. sab apne aaj ko suhera  banane ki kosis karte hai. koi yha majboor nhi hai sab yha khushi ka sahara lekar jeete hai ek nyi ummed bhi yha hmesha reheti hai. ek lekhak ki awaj bankar sab yha logo ki awaj sab tak pahuchaate hai or ye hai..!! keval ek kagji seher!! jha likhne ki suruaat to hoti hai magar ant kabhi nhi hota hai..kalam es seher ko buniyaad deta hai.. Yha marna koi jaanta par jeena har koi seekhta reheta hai. es seher ka koi ek kona nhi hai ye sbke dil ka hi ek khubsoorat hissa hai....... 😇😊❤️❤️❤️🖋️🖋️📝. A ONLY PAPER TOWN

A ONLY PAPER TOWN #Talk

8 Love

loader
Home
Explore
Events
Notification
Profile